dil-e-ḳhilqat-e-ḳhudā  ko  sanamā  jalā  na  chandāñ
ki  falak  ke  paar  pahuñche  taf-e-āh-e-dard-mandāñ
kaheñ  kyā  ki  dekhte  haiñ  tujhe  ġhair  saath  ḳhandāñ
rahe  hoñT  ho  chabāte  ba-jigar-fashurda-dandāñ
vahīñ  jhaḌ-guloñ  ke  tuude  bañdheñ  gulbanoñ  ke  nīche
kabhū  sub.h-dam  chaman  meñ  jo  vo  ġhuncha-lab  ho  ḳhandāñ
kaho  kyā  barrār-sohbat  mirī  us  kī  ho  azīzāñ
dil-e-nāzuk  apnā  shīsha  dil-e-sañg  us  kā  sandāñ
na  bachegā  said  un  se  koī  āhu-e-haram  tak
jo  rahe  shikār-afgan  yahī  ambarīñ-kamandāñ
kabhū  rañg  se  hinā  ke  sar-e-dast-o-pā  nigārīñ
na  sivā-e-ḳhūn-e-āshiq  kareñ  ye  nigār-bandāñ
na  ho  ġhair  saath  har-dam  mutabassim  ai  parī-vash
na  namak-fishāñ  ho  dil  ke  sar-e-rīsh  mustamindāñ
kiye  shāna  riish  ko  yaañ  abas  aa.e  shaiḳh  jī  tum
ki  ye  jam-e-bazm-e-rindāñ  hai  farīq-e-rīsh-ḳhandāñ
nahīñ  faal  lab  pe  us  ke  ye  hai  mehr  ḳhāmushī  kī
vahī  samjhe  hai  ye  nukta  ki  jo  hai  baḌā  suḳhan-dāñ
kahīñ  sarv  se  mushābah  tere  qad  ko  past-fitrat
ye  hai  gosh-zad  hamāre  suḳhan-e-nazar-bulandāñ
sabhī  mahv-e-ḳhud-numā.ī  ba-misāl-e-ā.ina  haiñ
ye  ḳhudā.ī  se  nirālā  hai  giroh-e-ḳhud-pasandāñ
tirī  vasf  kā  kamar  ke  na  bañdhā  kisī  se  mazmūñ
rahe  ḳhvāb  meñ  adam  tak  jo  ka.ī  ḳhayāl  bandāñ
'muhib'  is  adā  ke  sadqe  ki  uThā.e  maar  Thokar
sar-e-pā-e-nāznīñ  se  vo  sar-e-niyāz-mandāñ