har  aan  yaas  baḌhnī  har  dam  umiid  ghaTnī
din  hashr  kā  hai  ab  to  furqat  kī  raat  kaTnī
pau  phāTnā  nahīñ  ye  mujh  sīna-chāk  ke  hai
har  sub.h  bār-e-ġham  se  chhātī  falak  kī  फटनी
kūche  meñ  us  ke  baaqī  mujh  ḳhāksār  par  ab
yā  āsmāñ  hai  girnā  yā  hai  zamīn  phahTnī
mizhgāñ  kī  barchhiyoñ  ne  dil  ko  to  chhān  maarā
ab  boTiyāñ  haiñ  baaqī  un  par  jigar  kī  baTnī
ḳhat  kī  syāhī  ne  aa  gherī  sabāhat-e-husn
is  rome  se  hai  mushkil  ye  fauj-e-zañg  haTnī
zulf-e-siyah  meñ  ai  dil  bikhrā  na  māya-jāñ
ye  jins  tīra-shab  meñ  mushkil  hai  phir  simaTnī
ḳhūn-e-jigar  kā  khānā  dil  par  nahīñ  gavārā
in  tursh  abaruoñ  kī  jab  tak  na  ho.e  chaTnī
ā.īna  kah  rahā  hai  ḳhūboñ  ke  saaf  muñh  par
haiñ  ek  din  ye  shakleñ  sab  ḳhaak  biich  aTnī
rañgīñ  hai  yuuñ  butoñ  kī  kaif-e-nigah  kī  gardish
juuñ  burj  kī  phire  hai  holī  meñ  mast  jaTnī
kyā  past  fitratoñ  ko  baḳhshe  hai  sar-bulandī
duniyā  ke  sho.abde  se  ta.alīm  ho.e  naTnī
tū  ne  'muhib'  biThā.e  ye  qāfiye  vagarna
paa.e  qalam  ko  yaksar  hai  ye  zamīñ  rapaTnī