Waliullah Muhib

ai ham-nafas us zulf ke afsane ko mat chheD

Waliullah Muhib

ai ham-nafas us zulf ke afsāne ko mat chheḌ

bas silsila jumbāñ na ho dīvāne ko mat chheḌ

jis rañg se hai dil meñ mire ishq ruḳh-e-yār

nāseh na ho dīvāna parī-ḳhāne ko mat chheḌ

vo sham-e-majālis to hai fānūs meñ raushan

ai ishq mujh soḳhta parvāne ko mat chheḌ

to aap hai paimāñ-shikan is daur meñ saaqī

kahtā hai mujhe bazm meñ paimāne ko mat chheḌ

tarvār se kyā ham ko Darātā hai miyāñ

yaañ aap se maujūd haiñ mar jaane ko mat chheḌ

hamdam na kah us vaqt ki bose talab kar

majlis meñ mujhe gāliyāñ dilvāne ko mat chheḌ

manzūr agar chheḌ hañsī hai to pyāre

hote 'muhib' apne ke to begāne ko mat chheḌ

Top Urdushayar.com