udhar  vo  be-muravvat  bevafā  be-rahm  qātil  hai
idhar  be-sabr-o-be-taskīn-o-be-tāqat  mirā  dil  hai
udhar  sayyād  chashm-o-dām-e-zulf-o-nāvak-e-mizhgāñ
idhar  pahlū  meñ  dil  ik  said-e-lāġhar  nīm-bismil  hai
udhar  us  ko  to  mere  naam  se  bhī  nañg  hai  har-dam
idhar  siine  meñ  dil  mushtāq  hai  āshiq  hai  maa.il  hai
udhar  vo  ḳhud-parast  ayyār  hai  maġhrūr  hai  ḳhud-bēñ
idhar  merā  dil  az-ḳhud-rafta  hai  shaidā.ī  ġhāfil  hai
udhar  har  roz  kā  us  ko  ḳhilāf-e-va.ada  hai  āsāñ
idhar  shab-tā-sahar-gah  intizārī  saḳht  mushkil  hai
udhar  ḳhush  sair-e-dariyā  se  hai  vo  nā-āshnā  zālim
idhar  ham  ġharq-e-bahr-e-ġham  haiñ  aur  nāpaid  sāhil  hai
udhar  barq-e-nigah  hai  sabr  ke  ḳhirman  kī  ātish-zan
idhar  kisht-e-ummīd-o-yās  ab  tak  sair-e-hāsil  hai
udhar  shāne  ko  us  ke  zulf-o-kākul  ne  chaḌhāyā  sar
idhar  dil  par  balā-e-āsmāñ  yak-dast  nāzil  hai
udhar  baaqī  havas  hai  be-hisāb  us  ko  jafāoñ  kī
idhar  likhiye  vafāoñ  kī  to  kuchh  apnā  hī  fāzil  hai
udhar  vo  aa.ine  meñ  aks-e-rū  apne  kā  hai  maa.il
idhar  har  shai  meñ  vo  hai  jalva-gar-e-shakl-o-shamā.il  hai
udhar  hai  iḳhtilāt  aġhyār  se  us  yār-e-jānī  kā
idhar  dil  zikr  us  ke  kā  'muhib'  din  raat  shāmil  hai