dekhā  jo  kuchh  jahāñ  meñ  koī  dam  ye  sab  nahīñ
Tuk  aañkh  mūñdte  hī  tum  aur  ham  ye  sab  nahīñ
thoḌī  sī  ziist  hai  jo  ḳhushī  se  nibhe  to  ḳhair
varna  nishāt-o-ḳhurramī-o-ġham  ye  sab  nahīñ
bāġh-o-bahār-o-josh  gul-o-ḳhanda-e-subūh
saut-e-hazār-o-girya-e-shabnam  ye  sab  nahīñ
duniyā-o-dīn  dīda-e-dil  sabr  aur  qarār
tū  hī  agar  nahīñ  to  ik  aalam  ye  sab  nahīñ
kis  kaam  ke  haiñ  be-asarī  se  agarche  haiñ
āh-o-fuġhān-o-dīda-e-pur-nam  ye  sab  nahīñ
be-ishq  jitnī  ḳhalq  hai  insāñ  kī  shakl  meñ
nazroñ  meñ  ahl-e-dīd  ke  aadam  ye  sab  nahīñ
zaḳhm-e-nihān-e-hijr  ko  be-vasl  ai  'muhib'
ho  sūd-mand  baḳhiyā-o-marham  ye  sab  nahīñ