pahle  saf-e-ushshāq  meñ  merā  hī  lahū  chaaT
shamshīr-nigah  terī  ne  kyā  kyā  na  kiyā  kaaT
gulshan  meñ  hañsī  dekh  ke  us  gul  kī  yakāyak
hasrat  se  ga.e  ġhunchoñ  ke  yak-laḳht  jigar  phaaT
itnā  bhī  diyā  sabr  na  us  nafs-danī  ko
kutte  kī  tarah  baiThtā  qismat  kā  diyā  chaaT
dhulvā.iye  kyā  jāma-e-isyāñ  ko  basāo
chal  kuuch  meñ  dariyā  ke  kināre  haiñ  khaḌe  ghaaT
ho  ġhalla-e-ḳhilqat  se  na  saudā-e-mohabbat
hai  ishq  kī  dukkān  so  baniye  kī  nahīñ  haaT
ik  pashm-nazar  un  kī  meñ  hai  shaal  do-shāla
jo  baiThe  bichhā  boriyā  aur  oḌh  liyā  TaaT
sattar  do  bahattar  haiñ  tarīq  un  se  alāhada
hai  ishq  kī  manzil  kī  judī  raah  judī  baaT
ishqiya  kahe  sher  o  yā  mad.h-o-manāqib
aalam  kā  banvāḌā  kahe  shā.ir  nahīñ  hai  bhaaT
tab  raf.a  ḳhalish  ho.e  miyāñ  dil  se  'muhib'  ke
kahte  haiñ  so  tujh  se  kahe  dil  khol  ke  dukh  baaT