merī  ḳhabar  na  lenā  ai  yaar  hai  ta.ajjub
jī  se  bache  jo  mujh  sā  bīmār  hai  ta.ajjub
vāda-ḳhilāfiyoñ  se  terī  hai  dil  meñ  shub.ha
hove  jo  hashr  meñ  bhī  dīdār  hai  ta.ajjub
tum  kahte  ho  ki  vo  aatā  hai  paas  tere
us  yaar  se  to  yaaro  bisyār  hai  ta.ajjub
hastī  se  ik  nafas  kā  hai  fāsla  adam  tak
tis  par  bhī  hai  pahuñchnā  dushvār  hai  ta.ajjub
kaafī  na  thā  tumhāre  abrū  kā  ik  ishāra
khīñchī  jo  āshiqoñ  par  talvār  hai  ta.ajjub
sau  baar  dīn-o-īmāñ  gum  ho.e  to  ajab  kyā
TuuTe  jo  ahd-e-ulfat  ik  yaar  hai  ta.ajjub
kyūñkar  kaTegī  yārab  auqāt  ġham-zadoñ  kī
koī  nahīñ  jahāñ  meñ  ġham-ḳhvār  hai  ta.ajjub
nāseh  mirā  garebāñ  siine  kā  fikr  mat  kar
sābūt  us  meñ  paanā  ik  taar  hai  ta.ajjub
pāmāl  dil  kiye  haiñ  aalam  ke  har  qadam  meñ
sīkhī  ye  tum  ne  kis  se  raftār  hai  ta.ajjub
gaalī  huī  hai  ab  to  takiya-kalām  terā
sīdhī  zabāñ  kasū  se  guftār  hai  ta.ajjub
islām  meñ  ye  kaisā  inkār  kufr  se  hai
tasbīh  meñ  piro.e  zunnār  hai  ta.ajjub
dīvāna  hai  'muhib'  tū  terī  shikasta-hālī
dekhe  jo  aañkh  uThā  kar  dildār  hai  ta.ajjub
har  baat  meñ  jo  kahiye  majbūr  hai  qabāhat
insāñ  ko  gar  samjhiye  muḳhtār  hai  ta.ajjub
kuchh  gū-magū  hai  yaaro  ye  amr  bandagī  kā
afkār  hai  achambhā  iqrār  hai  ta.ajjub