saath  ġhairoñ  ke  hai  sadā  gaT-paT
ik  hamīñ  se  rakhe  hai  dil  meñ  kapaT
chañgul-e-bāz  haiñ  tirī  mizhgāñ
tā.ir-e-dil  ko  pal  meñ  le  hai  jhapaT
terī  is  vaz-e-dil-rubā.ī  se
ghar  ke  ghar  ho  ga.e  haiñ  chūḌ-chapaT
vo  bhī  din  phir  dikhā.egā  allāh
raat  ko  so.e  tū  gale  se  lipaT
paas  jab  ġhair  ko  biThātā  hai
jaa.e  hai  dil  tire  milāp  se  haT
dete  ho  baat  baat  meñ  baazī
ek  ho  apne  kaam  ke  naT-khaT
naaz  kī  teġh  ġhair  par  mat  khīñch
dil  hamārā  kahīñ  na  jaave  kaT
jis  tarah  chāñd  par  ho  abr-e-siyāh
zulf  yuuñ  mukhḌe  par  rahī  hai  ulaT
iid  hai  aaj  aa  gale  mil  leñ
dushmanoñ  kī  to  jaa.e  chhātī  phaT
ġham  meñ  tere  haiñ  ashk  yuuñ  jaarī
har  ghaḌī  jis  tarah  chale  hai  rahaT
ishq  vo  ghar  hai  jis  ke  shāh-o-gadā
bā-adab  chūmte  rahe  chaukhaT
kulle-shai-in-muhīt  kī  taqrīr
khaT  se  insān  ke  hue  parghaT
dil-e-bechāra  ik  tan-e-tanhā
fauj-e-ġham  aa.e  hai  tamām  simaT
dost  kī  ho  madad  to  yak  dam  meñ
jaa.e  ye  ma.arka  tamām  palaT
yaañ  qadam  raah  par  sivā.e  na  rakh
ai  'muhib'  raah  ishq  kī  hai  bikaT