lāla-rū  tum  ġhair  ke  paale  paḌe
dekhne  ke  haiñ  hameñ  laale  paḌe
jab  nazar  surme  ke  dumbāle  paḌe
dil  ke  pīchhe  tiir  aur  bhāle  paḌe
is  baras  furqat  meñ  tere  ashk  ke
chashm  se  bahte  haiñ  parnāle  paḌe
ham  havā-e-vasl  meñ  yaañ  tak  phire
jo  havas  ke  paañv  meñ  chhāle  paḌe
aariz  us  ke  par  nahīñ  zulf-e-siyāh
ganj  par  sote  haiñ  do  kaale  paḌe
aah  aur  naale  ke  girdā-gird  dil
phirte  haiñ  rātoñ  ko  rakhvāle  paḌe
kyā  nazākat  hai  ki  bosa  lete  hī
hoñT  par  us  gul  ke  tab  ḳhāle  paḌe
āñkheñ  us  ḳhūñ-ḳhār  se  phir  jā  laḌīñ
zaḳhm-e-dil  ke  haiñ  abhī  aale  paḌe
ishq  ke  hāthoñ  se  juuñ  farhād-o-qais
kyā  kahīñ  kis  kis  ke  ghar  ghāle  paḌe
āshiq  us  kī  mast  āñkhoñ  ke  mudām
phirte  haiñ  behosh  matvāle  paḌe
shaiḳh  tum  filhāl  dar-bazm-e-sama.a
bad-usūlī  se  ho  be-tāle  paḌe
apne  ghar  meñ  shaiḳh  añdherī  raat  meñ
haath  jo  aave  use  jā  le  paḌe
khole  ye  shīshoñ  ke  muñh  saaqī  ne  aaj
bazm  meñ  tirte  haiñ  kyā  pyāle  paḌe
uḌte  phirte  haiñ  zamīñ  par  shakl-e-abr
parcha  parcha  ruuī  ke  gaale  paḌe
dar  par  us  gul  ke  'muhib'  tum  se  hazār
phirte  haiñ  dil  bechne  vaale  paḌe