bulbul  vo  gul  hai  ḳhvāb  meñ  tū  gā  ke  mat  jagā
yā  chuTkiyoñ  kī  ġhunchoñ  se  bajvā  ke  gat  jagā
vo  gul-ezār  baaġh  meñ  aave  jo  rahm  kar
kahte  haiñ  gul  guloñ  se  kareñ  aaj  rat-jagā
hamdam  vo  bazla-sanj  to  aate  hī  so  rahā
ḳhush-tab.iyoñ  se  bol  ke  bāham  jagat  jagā
tā-sub.h  shaam  se  rahe  majlis  meñ  daur-e-jām
saaqī  hameñ  jagā.e  to  bā-kaifiyat  jagā
kaaTī  hai  bekalī  se  shab-e-hijr-e-gul-ruḳhāñ
Tuk  aañkh  lag  ga.ī  hai  sabā  ham  ko  mat  jagā
hai  mujh  ko  us  kī  nāzukī-e-tab.a  se  lihāz
duuñ  varna  āñkheñ  paañv  se  mal  kar  turat  jagā
farhād-o-qais  chhoḌ  ga.e  kishvar-e-junūñ
naubat  par  apnī  vaañ  kī  dilā  saltanat  jagā