duniyā  meñ  kyā  kisī  se  sarokār  hai  hameñ
tujh  bin  to  apnī  ziist  hī  dushvār  hai  hameñ
tū  hī  nahīñ  to  jaan  tirī  jaan  kī  qasam
ye  jaan  kis  ke  vāste  darkār  hai  hameñ
girte  haiñ  dukh  se  terī  judā.ī  ke  varna  ḳhair
chañge-bhale  haiñ  kuchh  nahīñ  āzār  hai  hameñ
mar  bach  ke  din  to  guzre  hai  jūñ-tūñ  par  is  tarah
nazroñ  meñ  nūr-e-mehr  shab-e-tār  hai  hameñ
phir  raat  kī  na  pūchh  haqīqat  ki  sub.h  tak
āh-o-fuġhān-o-dīda-e-ḳhūñbār  hai  hameñ
ho  kar  udaas  baaġh  meñ  jāveñ  kabhū  to  vaañ
nazroñ  ke  biich  har  rag-e-gul  ḳhaar  hai  hameñ
din  kā  vo  haal  raat  kā  vo  kuchh  bayān  hai
sair-e-chaman  so  dil  se  kuchh  ai  yaar  hai  hameñ
tis  par  bhī  ham  se  milne  kā  inkār  hai  tujhe
jis  meñ  tirī  razā  sū-e-iqrār  hai  hameñ
shikve  bhare  haiñ  dil  meñ  va-lekin  'muhibb'-e-man
kab  tere  aage  tāqat-e-guftār  hai  hameñ