Waliullah Muhib

wahin ji uThte hain murde ye kya Thokar se chhuna hai

Waliullah Muhib

vahīñ uThte haiñ murde ye kyā Thokar se chhūnā hai

vo raftār aur vo qāmat qayāmat namūna hai

ghuTā aatā hai dam ye ishq ne ātish hai sulgā.ī

dil-e-sozāñ se qismat dhuāñ āñkhoñ duunā hai

are o ḳhāna-ābād itnī ḳhūñ-rezī ye qattālī

ki ek āshiq nahīñ kūcha tirā vīrān suunā hai

kabāb-e-dil agarche soḳhta hai chakh to ai kaifī

ye añgāroñ par āh-e-ātishīñ ne ḳhuub bhūnā hai

mubassir jauhar-e-ḳhat par kahīñ haiñ us ke abrū ko

surūhī koī hai be-kal ki jis ab ye kuunā hai

tilism ik husn ḳhalq-allah ke aalam dil pe hai

phiro irān-o-turkistān faringistāñ-o-yūnā hai

hamāre āh-e-tīr-e-be-kamāñ ne ḳhāna-e-dil se

ye ruḳh pherā ki tā-bām-e-falak bāñdhā sutūnā hai

jahāñ ahl-e-vara.a majlis meñ hoñ vo baḳhsh lene ko

nishāñ naqsh-e-danī saath ik laḌkā jamūnā hai

agar tasvīr-e-rañg-e-zard-e-āshiq ḳhūb-rū dekheñ

koī batlā.egā suunā ghar koī kuunā hai

diyā maiñ paan use ik reḳhta paḌh kar lagā kahne

ye iiñTī khuuī katthā hai aur kañkar chūnā hai

tujhe detā hai baazī ai 'muhib' bach jā.iyo us se

ki naT-khaT us ke yaar aur vo daġhābāz ek ghūnā hai

Top Urdushayar.com