ho  jis  qadar  ki  tujh  se  ai  pur-jafā  jafā  kar
kahtā  huuñ  maiñ  bhī  tujh  se  ai  bā-vafā  vafā  kar
bait-us-sanam  meñ  jā  kar  hamdam  ba-rabb-e-ka.aba
laayā  huuñ  us  sanam  ko  ghar  tak  ḳhudā  ḳhudā  kar
gauhar  jo  ashk  ke  haiñ  kuchh  chashm  ke  sadaf  meñ
ġhaltāñ  na  ḳhaak  meñ  kar  aañsū  bahā  bahā  kar
marte  haiñ  ham  to  lekin  sun  terī  aamad  aamad
ummīd  ne  rakhā  hai  ab  tak  jalā  jalā  kar
tujh  ko  patañg  uḌāte  dekhā  jo  āshiqoñ  ne
kaT  mar  ke  baiThe  akasr  ghar-var  luTā  luTā  kar
sad-chāk  dil  kā  honā  har  sub.h-dam  hamārā
gul  se  tū  kah  rahī  hai  bulbul  hañsā  hañsā  kar
aatā  hai  vo  sharābī  khāne  kabāb  dil  kā
kahtā  hai  jhūTī  bāteñ  kyā  kyā  chabā  chabā  kar
saaqī  muaaf  rakkho  gustāḳhiyāñ  hamārī
be-ḳhud  kiyā  nashe  meñ  tū  ne  pilā  pilā  kar
bose  kā  likh  ke  nusḳha  yāqūtī-e-laboñ  se
bīmār-e-ishq  terā  hai  be-davā  davā  kar
har  sub.h  chaak  ho  hai  nāseh  mirā  garebāñ
har  shaam  tū  rakhe  hai  nāhaq  silā  silā  kar
aur  ik  ġhazal  'muhib'  kah  bar-qaul  'mīr'-sāhib
auroñ  se  de  ishāre  ham  se  chhupā  chhupā  kar