pahchāne  tū  har-dam  vahī  har  aan  vahī  hai
jānāñ  vahī  ai  jaan  vahī  jaan  vahī  hai
āsā.ish-e-tan  rāhat-e-jāñ  taaza  kiye  ruuh
vallāho-ma.al-ān-kamā-kān  vahī  hai
ka.abe  meñ  vahī  ḳhud  hai  vahī  dair  meñ  hai  aap
hindū  kaho  yā  us  ko  musalmān  vahī  hai
baḳhshe  hai  vahī  ḳhaak  ko  dīn-o-dil-o-īmāñ
ġhārat-gar-e-dīn-o-dil-o-īmān  vahī  hai
parda  hai  ta.ayyun  kā  vahī  āñkhoñ  ke  aage
be-parda  numā.inda-e-irfān  vahī  hai
ham  yaad  kareñ  kis  ko  farāmosh  hoñ  kis  se
hai  yaad  bhī  har-dam  vahī  nisyān  vahī  hai
sar  teġh  tale  us  ke  to  dhar  dījiye  kyūñkar
qātil  jo  vahī  hai  to  nigahbān  vahī  hai
sūrat  meñ  hai  zāhir  vahī  ma.anī  meñ  hai  bātin
har  shakl  meñ  paidā  vahī  pinhān  vahī  hai
na  māya-e-duniyā  hai  na  kuchh  diin  kā  asbāb
mujh  be-sar-o-pā  kā  sar-o-sāmān  vahī  hai
dil  hai  so  ghar  us  kā  hai  makāñ  jān-o-tan  us  kā
yaañ  sāhab-e-ḳhāna  vahī  mehmān  vahī  hai
be-dard  vahī  hai  vahī  hai  dard  va-lekin
apne  to  'muhib'  dard  kā  darmān  vahī  hai