shab-e-firāq  na  kaaTe  kaTe  hai  kyā  kiije
na  sub.h  ho.e  hai  na  pau  phaTe  hai  kyā  kiije
safā  thā  aks-e-ruḳh  us  ke  se  dil  kā  ā.īna
ab  us  pe  zañg-e-kudūrat  aTe  hai  kyā  kiije
rahīm-o-rām  kī  sumran  hai  shaiḳh-o-hindū  ko
dil  us  ke  naam  kī  raTnā  raTe  hai  kyā  kiije
basān  har  mizha  par  pāra-e-dil-majrūh
har  ek  pal  na  shumurda  baTe  hai  kyā  kiije
piye  thā  raat  to  kal  ġhair  paas  yaar  sharāb
aur  aaj  qasmeñ  hī  khā  khā  naTe  hai  kyā  kiije
ye  juuñ  juuñ  va.ade  ke  din  raat  paḌte  jaate  haiñ
ghaḌī  ghaḌī  meñ  mirā  jī  kaTe  hai  kyā  kiije
raqīb  jam  ke  ye  baiThā  ki  ham  uThe  nā-chār
ye  patthar  ab  na  haTā.e  haTe  hai  kyā  kiije
jigar  ke  TukḌoñ  se  jab  tak  ki  god  bhar  le  aa.e
ye  tifl-e-ashk  to  ro-ro  haTe  hai  kyā  kiije
ye  duḳht-e-raz  koī  aise  luTī  mile  hai  'muhib'
dil  us  kī  taak  meñ  apnā  luTe  hai  kyā  kiije