kāfir  hue  sanam  ham  dīñ-dār  terī  ḳhātir
tasbīh  toḌ  bāñdhā  zunnār  terī  ḳhātir
gul  sīna-chāk  bulbul  nālāñ  chaman  meñ  dekhī
āñkhoñ  ke  dukh  se  nargis  bīmār  terī  ḳhātir
abrū  kī  tū  ishārat  jis  kī  taraf  kare  thā
chaltī  thī  mujh  meñ  us  meñ  talvār  terī  ḳhātir
maiñ  jhuuT  sach  bhī  yak-dam  aañsū  na  un  ke  poñchhe
jo  chashm  roz-o-shab  haiñ  ḳhūñ-bār  terī  ḳhātir
sab  āshnāoñ  se  ham  begāna  ho  rahe  the
ab  zindagī  hai  apnī  dushvār  terī  ḳhātir
masjid  meñ  mai-kade  meñ  kyā  kaifī  aur  suufī
behosh  terī  ḳhātir  hoshyār  terī  ḳhātir
jo  rāh-e-āshiqī  meñ  thī  pastī-o-bulandī
vo  ham  ne  kī  sarāsar  hamvār  terī  ḳhātir
pathrā  ga.ī  haiñ  āñkheñ  anjum  kī  tarah  har  shab
bedār  rahte  rahte  ai  yaar  terī  ḳhātir
is  abr  meñ  chaman  ne  kyā  kyā  kiyā  hai  saaqī
asbāb  mai-kashī  kā  tayyār  terī  ḳhātir
har  ġhuncha  hai  gulābī  har  gul  hai  sāġhar-e-mai
mai-ḳhāna  ho  rahā  hai  gulzār  terī  ḳhātir
aage  to  kūcha-gardī  sheva  na  thā  'muhib'  kā
kī  ab  shurūa  us  ne  nā-chār  terī  ḳhātir