shorish  se  chashm-e-tar  kī  zi-bas  ġharq-e-āb  huuñ
din  raat  bahr-e-ġham  meñ  ba-rañg-e-hubāb  huuñ
ye  daur  ab  to  hai  ki  raqīboñ  kī  bazm  meñ
tū  mast  ho  sharāb  se  aur  maiñ  kabāb  huuñ
mujh  ḳhūñ-girafta  par  mire  qātil  kamar  na  bāñdh
meñ  aap  apne  qatl  kā  ḳhvāhāñ  shitāb  huuñ
har  sub.h-o-shām  baaġh  meñ  sahrā  meñ  juuñ  nasīm
us  gul  kī  justujū  kī  havas  par  ḳharāb  huuñ
hairat  se  us  ko  dekhte  haiñ  misl-e-ā.ina
ifshā-e-dard-e-dil  se  khaḌā  be-javāb  huuñ
āgāh  hai  ḳhudā  hī  'muhib'  roz  kis  liye
nazroñ  meñ  un  butāñ  kī  mahall-e-itāb  huuñ