abhī  to  zaḳhm  purāne  na  bhuul  paa.e  haiñ
huzūr  phir  mirī  vahshat  pe  muskurā.e  haiñ
ye  husn-e-abr-e-ravāñ  shola-hā-e-lāla-o-gul
tire  jamāl  kī  ra.anā.iyoñ  ke  saa.e  haiñ
vahīñ  vahīñ  pe  sambhālā  tire  tasavvur  ne
jahāñ  jahāñ  bhī  qadam  mere  Dagmagā.e  haiñ
sunā  chukī  hai  mujhe  bhī  ḳhizāñ  kī  ḳhāmoshī
jo  giit  tū  ne  bahāroñ  ke  saath  gaa.e  haiñ