Riyaz Anwar

jhuTa ye pyar upri chahat nahin qubul

Riyaz Anwar

jhūTā ye pyaar uuprī chāhat nahīñ qubūl

is baab meñ koī bhī vazāhat nahīñ qubūl

saada huuñ maiñ hai dil ko mire sādgī aziiz

donoñ ko ḳhud-numā.ī aadat nahīñ qubūl

apnā zamīr bech ke shohrat agar mile

baiThegī jhaag ban ke vo shohrat nahīñ qubūl

jo chāhe naam apnā likhe āb-e-zar ke saath

mujh ko ye āb-e-zar ibārat nahīñ qubūl

be-shak ġhazal chhape na chhape bin liye-diye

mujh ko suḳhan meñ aisī tijārat nahīñ qubūl

behtar yahī hai farsh-e-zamīñ par rahe nashist

paisoñ se jo mile vo sadārat nahīñ qubūl

'ḳhusrav' kisī aage nikalnā nahīñ pasand

parchhā.īñ bhī mujh ko qayādat nahīñ qubūl

Top Urdushayar.com