Asim Bakhshi

kya tumhein yaad hai insan hua karte the

Asim Bakhshi

1974
kyā tumheñ yaad hai insān huā karte the
ye bayābāñ kabhī gunjān huā karte the
vaqt tham jaatā thā dhaḌkan kī sadā sunte hue
jab tire aane ke imkān huā karte the
saañs ruk jaatī thī lahje meñ kasak hotī thī
jis samay kuuch ke elaan huā karte the
nāma-bar aatā thā raste bhī take jaate the
kyā javāñ vaqt thā rūmān huā karte the
jaane vāloñ ko kabhī lauTnā hotā hī na thā
multavī tab bhī yuuñ paimān huā karte the
chashm-o-abrū shab-e-mahtāb jamāl-e-sāqī
kyā tamannā bhare unvān huā karte the
bahr-e-ātish meñ ravāñ shauq kī naav rahtī
ishq dushvār thā bohrān huā karte the
dil jale kūcha-e-jānāñ ke fusūñ-zīnoñ par
abr aatā thā to mehmān huā karte the
sañg sah lete the sahrā meñ nikal jaate the
qais us vaqt ke nādān huā karte the
ye gumāñ thā ki savāloñ ke javāb ā.eñge
ham the fahhām so armān huā karte the
vaqt guzregā to hālāt sudhar jā.eñge
vaqt ke qahr se anjān huā karte the
un dinoñ chāñd pe ik buḌhiyā rahā kartī thī
tifl kyā saada the hairān huā karte the
log jab taish meñ aate the to chhup jaate the
kyā ajab tund vo haijān huā karte the
kaan sun lete the jazboñ kī zabāñ ko aksar
fāsle the magar āsān huā karte the
yād-e-ayyām baḌī talḳh zamīñ hai 'āsim'
is zamīñ meñ kabhī dīvān huā karte the
Top Urdushayar.com