kyā  tumheñ  yaad  hai  insān  huā  karte  the
ye  bayābāñ  kabhī  gunjān  huā  karte  the
vaqt  tham  jaatā  thā  dhaḌkan  kī  sadā  sunte  hue
jab  tire  aane  ke  imkān  huā  karte  the
saañs  ruk  jaatī  thī  lahje  meñ  kasak  hotī  thī
jis  samay  kuuch  ke  elaan  huā  karte  the
nāma-bar  aatā  thā  raste  bhī  take  jaate  the
kyā  javāñ  vaqt  thā  rūmān  huā  karte  the
jaane  vāloñ  ko  kabhī  lauTnā  hotā  hī  na  thā
multavī  tab  bhī  yuuñ  paimān  huā  karte  the
chashm-o-abrū  shab-e-mahtāb  jamāl-e-sāqī
kyā  tamannā  bhare  unvān  huā  karte  the
bahr-e-ātish  meñ  ravāñ  shauq  kī  naav  rahtī
ishq  dushvār  thā  bohrān  huā  karte  the
dil  jale  kūcha-e-jānāñ  ke  fusūñ-zīnoñ  par
abr  aatā  thā  to  mehmān  huā  karte  the
sañg  sah  lete  the  sahrā  meñ  nikal  jaate  the
qais  us  vaqt  ke  nādān  huā  karte  the
ye  gumāñ  thā  ki  savāloñ  ke  javāb  ā.eñge
ham  the  fahhām  so  armān  huā  karte  the
vaqt  guzregā  to  hālāt  sudhar  jā.eñge
vaqt  ke  qahr  se  anjān  huā  karte  the
un  dinoñ  chāñd  pe  ik  buḌhiyā  rahā  kartī  thī
tifl  kyā  saada  the  hairān  huā  karte  the
log  jab  taish  meñ  aate  the  to  chhup  jaate  the
kyā  ajab  tund  vo  haijān  huā  karte  the
kaan  sun  lete  the  jazboñ  kī  zabāñ  ko  aksar
fāsle  the  magar  āsān  huā  karte  the
yād-e-ayyām  baḌī  talḳh  zamīñ  hai  'āsim'
is  zamīñ  meñ  kabhī  dīvān  huā  karte  the