gumāñ  ke  raḳhsh-e-subuk  kī  ayaal  thāme  hue
bhaTak  rahā  huuñ  junūñ  meñ  ḳhayāl  thāme  hue
baqā  kī  jañg  meñ  ḳhud  se  falak  se  duniyā  se
maiñ  laḌ  rahā  huuñ  tamannā  kī  Dhaal  thāme  hue
vo  kashmakash  bhī  shanāsā.iyoñ  kī  kyā  hogī
mileñge  ḳhud  se  jab  apne  sifāl  thāme  hue
har  ek  pal  koī  bār-e-garāñ  sā  lagtā  hai
ki  jaise  lamha  guzārtā  huuñ  saal  thāme  hue
sarosh-e-ġhaib  ke  ma.abad  ke  sāmne  masjūd
sabhī  javāb  haiñ  gum-sum  savāl  thāme  hue
maiñ  zer-e-mauj-e-balā  sirf  itnā  dekh  sakā
za.iif  haath  purānā  sā  jaal  thāme  hue
zamīn-e-chashm  kī  andhī  amiiq  tah  meñ  kahīñ
ġhusīl  ḳhvāb  haiñ  'āsim'  kudāl  thāme  hue