kyā  ye  mumkin  hai  ki  ik  ḳhvāb  musalsal  dekhūñ
niiñd  khul  jaa.e  to  manzar  yahī  phir  kal  dekhūñ
nīm-vā  parda-e-dil  kaash  girā  de  koī
dekh  pā.ūñ  tirā  chehra  to  mukammal  dekhūñ
qaaf  ke  paar  kisī  des  meñ  jā  kar  utrūñ
āsmāñ  par  tujhe  namnāk  sā  bādal  dekhūñ
dasht-e-imkāñ  se  pare  vaqt  ke  dar  par  pahuñchūñ
ek  lamhe  ko  jakaḌ  luuñ  use  pal  pal  dekhūñ
jaane  kyā  ālam-e-vahshat-asarī  ho  andar
kaun  sā  dasht  vahāñ  kaun  sā  jañgal  dekhūñ
nabz  ruk  jaa.e  nahīñ  ye  nahīñ  lekin  ai  kaash
hazrat-e-dil  maiñ  kabhī  'mīr'  sā  dañggal  dekhūñ