jaane  kyuuñ  hai  zehn  ġhālib  ki  maiñ  soyā  huā  huuñ
ā.ina-ḳhāna-e-aflāk  meñ  khoyā  huā  huuñ
huuñ  musallas  yā  koī  dā.era  tajrīdī  sā
zehn-e-yazdāñ  meñ  maiñ  tamsīl  sā  goyā  huā  huuñ
naddiyāñ  bhar  ga.iiñ  labrez  haiñ  dariyā  saare
hai  ye  barsāt  kī  jal-thal  ki  maiñ  royā  huā  huuñ
jāntā  huuñ  ki  ye  hasrat  hī  mirī  manzil  hai
shauq  kī  tishna  zamīnoñ  meñ  jo  boyā  huā  huuñ
dard  kā  kyā  hai  mire  chhed  mujhe  pyāre  haiñ
maiñ  tamannāoñ  ke  kāñToñ  meñ  piroyā  huā  huuñ
chīrtī  hai  jo  sadā  maut  se  sannāTe  ko
kyā  ye  tū  hai  yā  maiñ  apne  hī  se  goyā  huā  huuñ
mere  chehre  kī  daraḳhshānī  se  māyūs  na  ho
sirf  itnā  hai  ki  ashkoñ  se  maiñ  dhoyā  huā  huuñ
gasht-e-aflāk  kī  hājat  mujhe  kyuuñ  kar  hogī
maiñ  ḳhud  apne  hī  ḳhalāoñ  meñ  samoyā  huā  huuñ
'āsim'  ab  ke  jo  maiñ  Dūbūñ  to  kuchh  aise  niklūñ
jaise  lafzoñ  ke  samundar  meñ  bhigoyā  huā  huuñ