ajiib  shaḳhs  huuñ  fart-e-vabāl  hote  hue
firāq  maañg  rahā  huuñ  visāl  hote  hue
niDhāl  apne  tamāshā.iyoñ  ke  jhurmuT  meñ
maiñ  ḳhud  ko  dekh  rahā  huuñ  ḳhayāl  hote  hue
bas  ek  varzish-e-tahrīr  lauh-e-hastī  par
bas  ik  savāl  kī  dhun  ḳhud  savāl  hote  hue
kuchh  is  kamāl  se  rauñdā  gayā  huuñ  mastī  meñ
bahut  sukūn  hai  ab  pā.emāl  hote  hue
sharār-e-sañg  ko  kyā  ab  bhī  isti.āra  kahūñ
in  āñsuoñ  kī  ye  zinda  misāl  hote  hue
guzar  gayā  huuñ  misāl-e-zamāna  ḳhud  par  se
maiñ  lamha  lamha  alal-ittisāl  hote  hue
maiñ  apne  aks  ko  'āsim'  ḳhudā  samajh  baiThā
ḳhatā  huī  thī  ye  mahv-e-jamāl  hote  hue