har  dam  kuchh  iztirāb  ke  aise  bhañvar  meñ  huuñ
jaise  kisī  duā-e-zarar  ke  asar  meñ  huuñ
bah  jā.ūñ  ban  ke  sail-e-ravāñ  is  zamīn  par
maiñ  ik  udaas  shaam  kisī  chashm-e-tar  meñ  huuñ
ḳhud  kī  talāsh  meñ  hī  zamāne  guzar  ga.e
kyā  apnī  justujū  hī  ke  dām-e-sahar  meñ  huuñ
jaise  kisī  ujaaḌ  ḳharābe  meñ  guuñj  ho
maujūd  is  tarah  tire  dīvār-o-dar  meñ  huuñ
manzil-shanās  ban  na  sakā  maiñ  to  kyā  huā
itnā  to  jāntā  huuñ  ki  rāh-e-safar  meñ  huuñ
'āsim'  mizāj  meñ  haiñ  tamannā.eñ  is  tarah
jaise  maiñ  aaj  tak  koī  bachcha  sā  ghar  meñ  huuñ