junūñ  ke  qāfiloñ  kī  be-nishāñ  manzil  kā  kyā  kahnā
asīrān-e-ḳhirad  ke  haal  meñ  shāmil  kā  kyā  kahnā
jamāl-e-mastī-e-ġharqāb  meñ  dam-ḳham  to  hai  lekin
kisī  chashm-e-fanā  kī  ḳhvāhish-e-sāhil  kā  kyā  kahnā
darūn-e-azdahām-e-mardumāñ  gar  ḳhud  se  milnā  ho
to  aisī  ittifāqī  munfarid  mahfil  kā  kyā  kahnā
hai  gar  apnā  muqaddar  kushta-e-teġh-e-jafā  honā
to  phir  ek  nā-gahānī  pañja-e-qātil  kā  kyā  kahnā
tire  qasr-e-vafā  kī  chhat  tale  zinda  to  haiñ  ham-dam
magar  is  sā.ebān-e-shauq-e-lā-hāsil  kā  kyā  kahnā
hameñ  bhī  ishtiyāq-e-inkishāf-e-haq  to  hai  'āsim'
magar  is  maḳhmase  is  dā.imī  mushkil  kā  kyā  kahnā