Shariq Kaifi

samne tere hun ghabraya hua

Shariq Kaifi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1961
sāmne tere huuñ ghabrāyā huā
be-zabāñ hone par sharmāyā huā
laakh ab manzar ho dhundlāyā huā
yaad hai mujh ko nazar aayā huā
ye bhī kahnā thā batā kar rāsta
maiñ vahī huuñ terā bhaTkāyā huā
maiñ ki ik aaseb ik be-chain ruuh
be-vuzū hāthoñ kā dafnāyā huā
aa gayā phir mashvara dene mujhe
ḳhema-e-dushman kā samjhāyā huā
phir vo manzil lutf kyā detī mujhe
maiñ vahāñ pahuñchā thā jhunjhlāyā huā
terī galiyoñ se guzar āsāñ nahīñ
aaj bhī chaltā huuñ ghabrāyā huā
kuchh nayā karne kā phir matlab hī kyā
jab tamāshā.ī hai uktāyā huā
kam se kam is kā to rakhtā vo lihāz
maiñ huuñ ik āvāz par aayā huā
mujh ko āsānī se pā saktā hai kaun
maiñ huuñ tere dar kā Thukrāyā huā
Top Urdushayar.com