Sher Mohammad Khan Iman

aalam mein husn tera mashhur jaante hain

Sher Mohammad Khan Iman

1806
aalam meñ husn terā mash.hūr jānte haiñ
arz o samā kā us ko ham nuur jānte haiñ
har-chand do jahāñ se ab ham guzar ga.e haiñ
tis par bhī dil ke ghar ko ham duur jānte haiñ
jis meñ tirī razā ho vo hī qubūl karnā
apnā to ham yahī kuchh maqdūr jānte haiñ
sau rañg jalvagar haiñ garche butān-e-ālam
ham ek tujhi ko apnā manzūr jānte haiñ
labrez-e-mai haiñ garche sāġhar kī tarah har dam
tis par bhī aap ko ham maḳhmūr jānte haiñ
kuchh aur aarzū kī hargiz nahīñ samā.ī
az bas tujhi ko dil meñ māmūr jānte haiñ
'īmān' jis ke dil meñ hai yaad us kī har dam
ham to usī kī ḳhātir masrūr jānte haiñ
Top Urdushayar.com