Haidar Qureshi

dilon mein dushmanon ke is tarah Dar bol uThte hain

Haidar Qureshi

1953

diloñ meñ dushmanoñ ke is tarah Dar bol uThte haiñ

gavāhī ko chhupāte haiñ to manzar bol uThte haiñ

mirī sachchā.ī merī be-gunāhī sab pe zāhir hai

ki ab jañgal kueñ sahrā samundar bol uThte haiñ

vo patthar-dil sahī lekin hamārā bhī ye da.avā hai

hamāre lab jinheñ chhū leñ vo patthar bol uThte haiñ

badal jaate haiñ ik lamhe meñ tārīḳh ke dhāre

kabhī jo mauj meñ aa kar qalandar bol uThte haiñ

ye kyā jaadū hai vo jab bhī mire milne ko aatā hai

ḳhushī se ghar ke sab dīvār aur dar bol uThte haiñ

zabān-e-haq kisī ke jabr se bhī ruk nahīñ saktī

ki neze anī par bhī Tañge sar bol uThte haiñ

laboñ qaid se kyā farq aayā dil bātoñ meñ

ki saare lafz āñkhoñ se ubhar kar bol uThte haiñ

ajab ahl-e-sitam ahl-e-vafā meñ Than ga.ī 'haidar'

sitam karte haiñ vo aur ye mukarrar bol uThte haiñ

Top Urdushayar.com