vahī  āñgan  vahī  khiḌkī  vahī  dar  yaad  aatā  hai
akelā  jab  bhī  hotā  huuñ  mujhe  ghar  yaad  aatā  hai
mirī  be-sāḳhta  hichkī  mujhe  khul  kar  batātī  hai
tire  apnoñ  ko  gaañv  meñ  to  akasr  yaad  aatā  hai
jo  apne  paas  hoñ  un  kī  koī  qīmat  nahīñ  hotī
hamāre  bhaa.ī  ko  hī  lo  bichhaḌ  kar  yaad  aatā  hai
saphaltā  ke  safar  meñ  to  kahāñ  fursat  ki  kuchh  socheñ
magar  jab  choT  lagtī  hai  muqaddar  yaad  aatā  hai
may  aur  june  kī  garmī  badan  se  jab  Tapaktī  hai
november  yaad  aatā  hai  december  yaad  aatā  hai