har  baar  huā  hai  jo  vahī  to  nahīñ  hogā
Dar  jis  kā  satātā  hai  abhī  to  nahīñ  hogā
duniyā  ko  chalo  parkheñ  na.e  dost  banā.eñ
har  shaḳhs  zamāne  meñ  vahī  to  nahīñ  hogā
vo  shaḳhs  baḌā  hai  to  ġhalat  ho  nahīñ  saktā
duniyā  ko  bharosa  ye  abhī  to  nahīñ  hogā
hai  us  kā  ishāra  bhī  samajhne  kī  zarūrat
hogā  to  kabhī  hogā  abhī  to  nahīñ  hogā
do-chār  gaḌe  murde  ukhāḌeñge  kisī  roz
har  baar  nayā  jhagḌā  kabhī  to  nahīñ  hogā
kuchh  aur  bhī  ho  saktā  hai  taqrīr  kā  matlab
jo  aap  ne  samjhā  hai  vahī  to  nahīñ  hogā
har  baar  zamāne  kā  sitam  hogā  mujhī  par
haañ  maiñ  hī  badal  jā.ūñ  kabhī  to  nahīñ  hogā