tū  vafā  kar  ke  bhuul  jā  mujh  ko
ab  zarā  yuuñ  bhī  aazmā  mujh  ko
ye  zamāna  burā  nahīñ  hai  magar
apnī  nazroñ  se  dekhnā  mujh  ko
be-sadā  kāġhazoñ  meñ  aag  lagā
aaj  kī  raat  gungunā  mujh  ko
tujh  ko  kis  kis  meñ  DhūñDhtā  āḳhir
tū  bhī  kis  kis  se  māñgtā  mujh  ko
ab  kisī  aur  kā  pujārī  hai
jis  ne  maanā  thā  devtā  mujh  ko