jhilmilāte  hue  din-rāt  hamāre  le  kar
kaun  aayā  hai  hathelī  pe  sitāre  le  kar
ham  use  āñkhoñ  kī  dehrī  nahīñ  chaḌhne  dete
niiñd  aatī  na  agar  ḳhvāb  tumhāre  le  kar
raat  laa.ī  hai  sitāroñ  se  sajī  qindīleñ
sar-nigūñ  din  hai  dhanak  vaale  nazāre  le  kar
ek  ummīd  baḌī  duur  talak  jaatī  hai
terī  āvāz  ke  ḳhāmosh  ishāre  le  kar
raat  shabnam  se  bhigo  detī  hai  chehrā  chehrā
din  chalā  aatā  hai  āñkhoñ  meñ  sharāre  le  kar
ek  din  us  ne  mujhe  paak  nazar  se  chūmā
umr-bhar  chalnā  paḌā  mujh  ko  sahāre  le  kar