ghar  kī  buniyādeñ  dīvāreñ  bām-o-dar  the  baabū  jī
sab  ko  bāñdh  ke  rakhne  vaalā  ḳhaas  hunar  the  baabū  jī
tiin  mohalloñ  meñ  un  jaisī  qad  kāThī  kā  koī  na  thā
achchhe-ḳhāse  ūñche  puure  qad-āvar  the  baabū  jī
ab  to  us  suune  māthe  par  kore-pan  kī  chādar  hai
ammā  jī  kī  saarī  saj-dhaj  sab  zevar  the  baabū  jī
bhītar  se  ḳhālis  jazbātī  aur  uupar  se  TheTh  pitā
alag  anūThā  anbūjhā  sā  ik  tevar  the  baabū  jī
kabhī  baḌā  sā  hāth-ḳharch  the  kabhī  hathelī  kī  sūjan
mere  man  kā  aadhā  sāhas  aadhā  Dar  the  baabū  jī