ye bāteñ aaj kī kal jis kitāb meñ likhnā
tum apne jurm ko mere hisāb meñ likhnā
hadīs-e-dil ko qalam se na āshnā karnā
kahāniyāñ hī hamesha javāb meñ likhnā
mujhe samajhne kī koshish hai shaġhl-e-lā-hāsil
jo chāhnā vahī tum mere baab meñ likhnā
vo kahte haiñ likho naama magar lihāz rahe
hamārā naam na hargiz ḳhitāb meñ likhnā
miTā miTā jo rahā zulmatoñ ke parde meñ
vo harf-e-haq varaq-e-āftāb meñ likhnā
hamesha jis kī havas ko thī ārzū-e-bahisht
usī kī ruuh rahī thī azaab meñ likhnā
jo baat likhne ko thā muztarib bahut 'naushād'
vahī maiñ bhuul gayā iztirāb meñ likhnā