ye  bāteñ  aaj  kī  kal  jis  kitāb  meñ  likhnā
tum  apne  jurm  ko  mere  hisāb  meñ  likhnā
hadīs-e-dil  ko  qalam  se  na  āshnā  karnā
kahāniyāñ  hī  hamesha  javāb  meñ  likhnā
mujhe  samajhne  kī  koshish  hai  shaġhl-e-lā-hāsil
jo  chāhnā  vahī  tum  mere  baab  meñ  likhnā
vo  kahte  haiñ  likho  naama  magar  lihāz  rahe
hamārā  naam  na  hargiz  ḳhitāb  meñ  likhnā
miTā  miTā  jo  rahā  zulmatoñ  ke  parde  meñ
vo  harf-e-haq  varaq-e-āftāb  meñ  likhnā
hamesha  jis  kī  havas  ko  thī  ārzū-e-bahisht
usī  kī  ruuh  rahī  thī  azaab  meñ  likhnā
jo  baat  likhne  ko  thā  muztarib  bahut  'naushād'
vahī  maiñ  bhuul  gayā  iztirāb  meñ  likhnā