Naushad Ali

apni tadbir na taqdir pe rona aaya

Naushad Ali

Lucknow, Uttar pradesh, India

1919-2006
apnī tadbīr na taqdīr pe ronā aayā
dekh kar chup tirī tasvīr pe ronā aayā
kyā hasīñ ḳhvāb mohabbat ne dikhā.e the hameñ
jab khulī aañkh to ta.abīr pe ronā aayā
ashk bhar aa.e jo duniyā ne sitam dil pe kiye
apnī luTtī huī jāgīr pe ronā aayā
ḳhūn-e-dil se jo likhā thā vo miTā ashkoñ se
apne hī naame kī tahrīr pe ronā aayā
jab talak qaid the taqdīr pe ham rote the
aaj TuuTī huī zanjīr pe ronā aayā
rāh-e-hastī pe chalā maut kī manzil pe milā
ham ko is raah ke rahgīr pe ronā aayā
jo nishāne pe lagā aur na palaT kar aayā
ham ko 'naushād' usī tiir pe ronā aayā
Top Urdushayar.com