apnī  tadbīr  na  taqdīr  pe  ronā  aayā
dekh  kar  chup  tirī  tasvīr  pe  ronā  aayā
kyā  hasīñ  ḳhvāb  mohabbat  ne  dikhā.e  the  hameñ
jab  khulī  aañkh  to  ta.abīr  pe  ronā  aayā
ashk  bhar  aa.e  jo  duniyā  ne  sitam  dil  pe  kiye
apnī  luTtī  huī  jāgīr  pe  ronā  aayā
ḳhūn-e-dil  se  jo  likhā  thā  vo  miTā  ashkoñ  se
apne  hī  naame  kī  tahrīr  pe  ronā  aayā
jab  talak  qaid  the  taqdīr  pe  ham  rote  the
aaj  TuuTī  huī  zanjīr  pe  ronā  aayā
rāh-e-hastī  pe  chalā  maut  kī  manzil  pe  milā
ham  ko  is  raah  ke  rahgīr  pe  ronā  aayā
jo  nishāne  pe  lagā  aur  na  palaT  kar  aayā
ham  ko  'naushād'  usī  tiir  pe  ronā  aayā