jahāñ  tak  yād-e-yār  aatī  rahegī
fasāne  ġham  ke  dohrātī  rahegī
lahū  dil  kā  na  hogā  ḳhatm  jab  tak
mohabbat  zindagī  paatī  rahegī
bhulā.egā  zamāna  mujh  ko  jitnā
mirī  har  baat  yaad  aatī  rahegī
bajātā  chal  divāne  saaz  dil  kā
tamannā  har  qadam  gaatī  rahegī
sañvāregā  tū  jitnā  zulf-e-hastī
ye  nāgin  itnā  bal  khātī  rahegī
jahāñ  meñ  maut  se  bhāgoge  jitnā
ye  utnā  bāñheñ  phailātī  rahegī
tamannā.eñ  mirī  puurī  na  karnā
mirī  dīvāngī  jaatī  rahegī
ye  duniyā  jab  talak  qaa.em  hai  'naushād'
hamāre  giit  dohrātī  rahegī