haa.e  kaisī  vo  shaam  hotī  hai
dāstāñ  jab  tamām  hotī  hai
ye  to  bāteñ  haiñ  sirf  zāhid  kī
kahīñ  mai  bhī  harām  hotī  hai
shām-e-furqat  kī  uljhaneñ  tauba
kis  ġhazab  kī  ye  shaam  hotī  hai
ishq  meñ  aur  qarār  kyā  ma.anī
zindagī  tak  harām  hotī  hai
ho  ke  aatī  hai  jab  udhar  se  sabā
kitnī  nāzuk-ḳhirām  hotī  hai
ye  tasadduq  hai  un  kī  zulfoñ  kā
merī  har  sub.h  shaam  hotī  hai
jab  bhī  hotī  haiñ  jannateñ  taqsīm
huur  zāhid  ke  naam  hotī  hai
lamhe  aate  haiñ  vo  bhī  ulfat  meñ
jab  ḳhamoshī  kalām  hotī  hai
piine  vaalā  ho  gar  to  saaqī  kī
har  nazar  daur-e-jām  hotī  hai
har  adā  ham  adā-shanāsoñ  kī
zindagī  kā  payām  hotī  hai
vaqt  Thahrā  huā  sā  hai  'naushād'
na  sahar  aur  na  shaam  hotī  hai