aag  ik  aur  lagā  deñge  hamāre  aañsū
nikle  āñkhoñ  se  agar  dil  ke  sahāre  aañsū
hāsil-e-ḳhūn-e-jigar  dil  ke  haiñ  paare  aañsū
be-bahā  la.al-o-guhar  haiñ  ye  hamāre  aañsū
hai  koī  ab  jo  lagī  dil  kī  bujhā.e  merī
hijr  meñ  roke  gañvā  baiThā  huuñ  saare  aañsū
us  masīhā  kī  jo  furqat  meñ  huuñ  royā  shab-bhar
ban  ga.e  charḳh-e-chahārum  ke  sitāre  aañsū
ḳhūn-e-dil  ḳhūn-e-jigar  bah  gayā  paanī  ho  kar
kuchh  na  kaam  aa.e  mohabbat  meñ  hamāre  aañsū
mujh  ko  sone  na  diyā  ashk-fishānī  ne  mirī
raat  bhar  ginte  rahe  charḳh  ke  taare  aañsū
vo  sañvar  kar  kabhī  aa.e  jo  tasavvur  meñ  mire
chashm-e-mushtāq  ne  sadqe  meñ  utāre  aañsū
paas  rusvā.ī  ne  chhoḌā  na  sukūñ  kā  dāman
girte  girte  ruke  āñkhoñ  ke  kināre  aañsū
lutf  ab  aayā  mirī  ashk-fishānī  kā  huzūr
pyārī  āñkhoñ  se  kisī  ke  bahe  pyāre  aañsū
merī  qismat  meñ  hai  ronā  mujhe  ro  lene  do
tum  na  is  tarah  bahāo  mire  pyāre  aañsū
māh-o-anjum  pe  na  phir  apne  kabhī  naaz  kare
dekh  le  charḳh  kisī  din  jo  hamāre  aañsū
yuuñ  hī  tūfāñ  jo  uThāte  rahe  kuchh  din  'naushād'
aag  duniyā  meñ  lagā  deñge  hamāre  aañsū