ḳhair  māñgī  jo  āshiyāne  kī
āñdhiyāñ  hañs  paḌīñ  zamāne  kī
mere  ġham  ko  samajh  sakā  na  koī
mujh  ko  aadat  hai  muskurāne  kī
dil  sā  ghar  Dhā  diyā  to  kis  muñh  se
baat  karte  ho  ghar  basāne  kī
husn  kī  baat  ishq  ke  qisse
baat  karte  ho  kis  zamāne  kī
dil  hī  qaabū  meñ  ab  nahīñ  merā
ye  qayāmat  tirī  adā  ne  kī
kuchh  to  tūfāñ  kī  zad  meñ  ham  aa.e
kuchh  navāzish  bhī  nā-ḳhudā  ne  kī
mujh  ko  tum  yaad  aur  bhī  aa.e
koshisheñ  jitnī  kī  bhulāne  kī
vo  hī  'naushād'  fan  kā  shaidā.ī
baat  karte  ho  kis  divāne  kī