ābādiyoñ  meñ  dasht  kā  manzar  bhī  aa.egā
guzroge  shahr  se  to  mirā  ghar  bhī  aa.egā
achchhī  nahīñ  nazākat-e-ehsās  is  qadar
shīsha  agar  banoge  to  patthar  bhī  aa.egā
sairāb  ho  ke  shaad  na  hoñ  rah-ravān-e-shauq
raste  meñ  tishnagī  kā  samundar  bhī  aa.egā
dair  o  haram  meñ  ḳhaak  uḌāte  chale  chalo
tum  jis  kī  justujū  meñ  ho  vo  dar  bhī  aa.egā
baiThā  huuñ  kab  se  kūcha-e-qātil  meñ  sar-nigūñ
qātil  ke  haath  meñ  kabhī  ḳhanjar  bhī  aa.egā
sarshār  ho  ke  jā  chuke  yārān-e-mai-kada
saaqī  hamāre  naam  kā  sāġhar  bhī  aa.egā
is  vāste  uThāte  haiñ  kāñToñ  ke  naaz  ham
ik  din  to  apne  haath  gul-e-tar  bhī  aa.egā
itnī  bhī  yaad  ḳhuub  nahīñ  ahd-e-ishq  kī
nazroñ  meñ  tark-e-ishq  kā  manzar  bhī  aa.egā
rūdād-e-ishq  is  liye  ab  tak  na  kī  bayāñ
dil  meñ  jo  dard  hai  vo  zabāñ  par  bhī  aa.egā
jis  din  kī  muddatoñ  se  hai  'naushād'  justujū
kyā  jaane  din  hameñ  vo  mayassar  bhī  aa.egā