zanjīr-e-junūñ  kuchh  aur  khanak  ham  raqs-e-tamannā  dekheñge
duniyā  kā  tamāsha  dekh  chuke  ab  apnā  tamāsha  dekheñge
ik  umr  huī  ye  soch  ke  ham  jaate  hī  nahīñ  gulshan  kī  taraf
tum  aur  bhī  yaad  aaoge  hameñ  jab  gul  koī  khiltā  dekheñge
kyā  fā.eda  aise  manzar  se  kyuuñ  ḳhud  hī  na  kar  leñ  band  āñkheñ
itnī  hī  baḌhegī  tishna-labī  ham  aap  ko  jitnā  dekheñge
tum  kyā  samjho  tum  kyā  jaano  furqat  meñ  tumhārī  dīvāne
kyā  jāniye  kyā  kyā  dekh  chuke  kyā  jāniye  kyā  kyā  dekheñge
hone  do  añdherā  aaj  kī  shab  gul  kar  do  charāġhoñ  ke  chehre
ham  aaj  ḳhud  apnī  mahfil  meñ  dil  apnā  hī  jaltā  dekheñge
'naushād'  ham  un  kī  mahfil  se  is  vāste  uTh  kar  aa.e  haiñ
parvānoñ  kā  jalnā  dekh  chuke  ab  apnā  taḌapnā  dekheñge