Urooj Zaidi Badayuni

fikr-e-besh-o-kam nahin unki raza ke samne

Urooj Zaidi Badayuni

Meerut, Uttar pradesh, India

1912-1987

fikr-e-besh-o-kam nahīñ un razā ke sāmne

ye mujhe taslīm hai arz-o-samā ke sāmne

jo talab-nā-āshnā ho mā-sivā ke sāmne

haath phailātī hai duniyā us gadā ke sāmne

ye kamāl-e-jazb-e-dil merī nazar se duur thā

aap ḳhud aa jā.eñge parda uThā ke sāmne

sochnā paḌtā hai kyuuñ bebas huuñ kyuuñ majbūr huuñ

maiñ sar-e-āġhāz-o-fikr-o-intihā ke sāmne

vo to kahiye merā dil āmāj-gāh-e-shauq hai

varna kaun aatā hai tere be-ḳhatā ke sāmne

kyā batā.ūñ merī ġharqābī meñ kis haath thā

nāḳhudā ko pesh honā hai ḳhudā ke sāmne

TuuT jā.egā tililsm-e-rāstī-o-rahbarī

maiñ agar ā.īna rakh duuñ rahnumā ke sāmne

ai zamīr-e-zinda mere har-qadam par ehtisāb

nāma-e-a.amāl jā.egā ḳhudā ke sāmne

āñdhiyāñ un ko bujhā deñ āñdhiyoñ kyā majāl

maiñ ne vo sham.eñ jalā.ī haiñ havā ke sāmne

shiddat-e-ehsās-e-tauba vo aalam hai 'urūj'

jaam mere sāmne hai maiñ ḳhudā ke sāmne

Top Urdushayar.com