talḳhī-e-ġham  mire  ehsās  kā  sarmāyā  hai
husn  se  maiñ  ne  ye  in.ām-e-vafā  paayā  hai
jab  kabhī  ishrat-e-rafta  kā  ḳhayāl  aayā  hai
maiñ  nai  pahroñ  dil-e-be-tāb  ko  samjhāyā  hai
haa.e  ye  be-ḳhudī  ishq  ko  ma.alūm  nahīñ
kaun  aayā  hai  kab  aayā  hai  kahāñ  aayā  hai
dil  ko  sīmāb  sifat  kah  ke  guzarne  vaale
ḳhud  pe  taḌpā  hai  ki  tū  ne  use  taḌpāyā  hai
kāfir-e-ishq  na  samjhūñ  to  use  kyā  samjhūñ
mere  iḳhlās  ko  ik  dost  ne  Thukrāyā  hai
apnī  is  haar  ko  maiñ  jiit  na  kyuuñ  kar  samjhūñ
ḳhud  ko  khoyā  hai  to  ai  dost  tujhe  paayā  hai
tum  mire  hāl-e-pareshāñ  pe  na  tanqīd  karo
tum  ne  dāman  kabhī  kāñToñ  meñ  bhī  uljhāyā  hai
manzil-e-dil  bhī  vahī  kū-e-malāmat  bhī  vahī
ishq  kā  jazba-e-be-tāb  kahāñ  laayā  hai
aañkh  jhapkegī  to  shīrāza  bikhar  jā.egā
kis  kī  āvāz  thī  jis  ne  mujhe  chauñkāyā  hai
jis  ko  kahte  haiñ  ġhazal  us  kī  badaulat  hī  'urūj'
ruḳh-e-urdu  pe  ye  rañg  aur  nikhār  aayā  hai