Rahat Sarhadi

wo tumtaraq-e-sikandar na qasr-e-shah mein hai

Rahat Sarhadi

vo tumtarāq-e-sikandar na qasr-e-shāh meñ hai
jo baat 'rāhat'-e-ḳhasta kī ḳhānqāh meñ hai
use haTānā paḌegā junūñ kī Thokar se
ye kā.enāt rukāvaT mirī nigāh meñ hai
maiñ is samāj ko taslīm hī nahīñ kartā
ki ishq jaisī ibādat jahāñ gunāh meñ hai
ḳhayāl rukte nahīñ āhanī fasīloñ se
ki āh-e-ḳhalq kahāñ qudrat-e-sipāh meñ hai
ki ye bhī merī tarah bhūltī nahīñ tujh ko
isī liye to namī chashm-e-sair-gāh meñ hai
kahāñ bānegā to DeḌh iiñT kī masjid
tamām shahr to shāmil hudūd-e-shāh meñ hai
qadam qadam pe vahāñ haath ḳhaar bante haiñ
kashish ajiib sī 'rāhat' kisī kī raah meñ hai
Top Urdushayar.com