Rahat Sarhadi

bana ke talKH haqaeq se par nikalti hai

Rahat Sarhadi

banā ke talḳh haqā.eq se par nikaltī hai
chaTān meñ bhī agar ho ḳhabar nikaltī hai
mirī taraf se ijāzat hai dekh lo ḳhud hī
kahīñ judā.ī kī sūrat agar nikaltī hai
vo tīrgī hai ki ḳhud raah DhūñDne ke liye
charāġh haath meñ le kar sahar nikaltī hai
ġhurūr itnā bhī kyā apnī shaan shaukat par
ye ḳhush-gumānī to kaTvā ke sar nikaltī hai
mire ḳhayāl meñ tasḳhīr-e-shash-jihat ke liye
tirī galī se kahīñ rahguzar nikaltī hai
na raat suntī hai 'rāhat' fuġhān-e-said yahāñ
na dhuup dekh ke zarf-e-shajar nikaltī hai
Top Urdushayar.com