Kaif Ahmed Siddiqui

sare din dasht-e-tajassus mein bhaTak kar so gaya

Kaif Ahmed Siddiqui

Sitapur, Uttar pradesh, India

1943
saare din dasht-e-tajassus meñ bhaTak kar so gayā
shaam kī āġhosh meñ sūraj bhī thak kar so gayā
āḳhir-e-shab maiñ bhī khā kar ḳhvāb-āvar goliyāñ
chand lamhe nashsha-e-ġham se bahak kar so gayā
ye sukūt-e-shām ye hañgāma-e-zehn-e-bashar
ruuh hai bedār lekin jism thak kar so gayā
āḳhir is daur-e-pur-āshob kā har aadmī
ḳhvāb-e-mustaqbil ke jañgal meñ bhaTak kar so gayā
chand din gulshan meñ naġhmāt-e-masarrat chheḌ kar
shāḳh-e-ġham par ruuh kā panchhī chahak kar so gayā
āḳhirash saare chaman ko de ke husn-e-zindagī
maut ke bistar pe har ġhuncha mahak kar so gayā
zindagī bhar ab añdherī raat meñ hai jāgnā
ab to qismat kā sitāra bhī chamak kar so gayā
paikar-e-alfāz meñ ik aag dahkātā huā
kāġhzī sahrā meñ ik sho.ala bhaḌak kar so gayā
'kaif' yuuñ āġhosh-e-fan meñ zehn ko niiñd aa ga.ī
jaise maañ kī god meñ bachcha sisak kar so gayā
Top Urdushayar.com